Body Ko Fit Aur Healthy Kaise Rakhe – Body Fitness Tips in Hindi
Hello Friends, Aaj ham is article me baat karenge ki aap apni body ko healthy and fit kaise rakhe. Kyuki aaj ke time me lagbhag 5 se 8% log hi apne fully body ko healthy rakh pate hai.
Aaj kal social media ki duniya me healthy rehna bahut hi hard hai, but itna bhi muskil nahi hai.
Pehle ke time pe log lambi life jeete the kyuki wo log hard work karte the, aur aaj ke time pe log machinery aur latest technology ka use kar rahe hai So,body ko comfort milta hai, isliye healthy nahi reh pate hai.
Pehle ke time me koi bhi machinery bhi nahi use ki jaati thi isliye log khud se kam karte the jinse uski body bhi fit rehti aur khana bhi achhi tarah khate the, aaj ki tarah us time pe junk food nahi milta tha.
Workout Kaise Kare:
Sabse pehle aapko roj subah 10 – 15 minutes tak exercise karni hai.
Aap apni taraf se koi bhi exercise kar sakte hai, jaise ki cycling karna, running karna, swimming karna, dancing karna jaise koi bhi exercise kar sakte hai and uske baad aapko 15 minutes tak meditation karna hai.
Meditation yani ki aapko khud par concerntrate karna hai. Aapko ye ek month tak karna hai.
Uske baad jab aapki habit ban jaye tab aap apni taraf se time badha sakte hai, aur meditation ka bhi time badha sakte hai.
Meditation karne se aapke dimag ko puri tarah se energy milegi aur aapka pura din achha jayega aur aapki body me pure din energy rahegi jinse aapko laziness nahi aayegi, aur meditation karne se aapka mind bilkul free rahega.
Exercise Kaise Kare:
Ab aapko batate hai ki aapko exercise kis tarah karni chahiye.
Kuchh logo ka manna hai ki fat aur mote pet wale ko hi exercise karni chahiye magar ye bilkul galat hai but, real me sabhi logo ko exercise karni chahiye yaani ki chhote bachhe se lekar bade bujurg bhi exercise kar sakte hai.
Exercise karne ke liye best time morning ka hai because, morning me aap fresh hote aur subah ke time oxygen ka atmosphere jyada hota hai aur jab aap sam ko sote hai to aapke body ke bones achhi tarah work nahi karte.
Aap sham ko bhi exercise kar sakte hai aur workout bhi kar sakte hai jaise ki dumble, jogging jaise workout kar sakte hai.
Agar aapko exercise karna achha nahi lagata to aapko swimming sikhani chahiye, because swimming exercise karne ke saath saath body ko fit rakhata hai aur entrertainment bhi hota hai.
Swimming se hamara heart ekdam strong banta hai and hamare joints bhi strong banate hai. Ab ham aapko batate hai ki aapko konsa food lene chahiye.
Health Ke Liye Food:
Body ko healthy rakhane ke liye sabse jaruri cheez hai food. Agar aap ek achha aur healthy food lete hai to aapki body ko proper vitamins milte hai, jinse aapki body fit rehti hai.
Aapko fresh vegetables, fruits aur doodh pina chahiye, agar aap gay ka doodh pite hai to ye aapke liye sabse achha hai, aapko daily subah aur sam ek glass doodh pina chahiye, inse aapke body me energy rahegi.
Drinking Water:
Healthy body ke liye sabse important cheej hai water. Kyu ke pani hamare health par bahut hi affect karta hai.
Hamare dimag me 75% paani ka use hota hai, jinse hamara dimag active rehata hai. Paani hamare digestion system ko control me rakhata hai, jinse body me se poisonous wastage ko bahar nikalta hai, jinse hamara body active rehata hai.
Jin logo ko overweight ki problem hai, usko subah ke time garam paani 3 se 4 glass pina chahiye jinse uski body me wastage ko bahar nikalta hai, aur inse aapka heart bhi bilkul healthy rahega.
To dosto, ye thi kuchh body fitness ke baare me tips. In tips ko follow karke aap apni body ko fit rakh sakte hai.
Agar aap jyada janana chahate hai to mujhe niche comment karke jarur bataye, aur agar aapko ye information achhi lagi ho to apne friends ke saath jarur share kare.