How To Create A Free Blog On Blogger – How To Earn With Google
Aaj ham is article me baat karne wale hai ki aap kaise google ke programse judkar lac rupey mahina earn kar sakte hai aur wo bhi bilkul free, ji ha isme aapko ek bhi rupey lagane ki jarurat nahi hai aur aap ise apne time se kar sakte hai.
Aaj is program se lakho log apna ghar chala rahe hai. To aaiye jaante hai ki wo program konsa hai aur unse judkar aap lakho rupey kaise earn kar sakte hai.
To friends, is program ka name hai blogger.com. Ji ha blogger ke programm se aap free me blog create kar sakte haiaur unse judkar lakho rupey kama sakte hai. Blogger me aap free me apni website create kar sakte hai par jab bhi aap blog banate hai tab aapko subdomain milega yani ki pichhe .blogspot.com extention milega.
How To Create A Free Blog
Sabse pehle aapko blog create karne ke liye blogger.com website par aapko apna free blog create karna hai.
Blog banane ke liye aapko gmail id ki jarurat padegi, kyuki blogger google ka hi ek programm hai.
Uske baad aapko apne blog ka name choose karna hai yani ki apne website ka address choose karna hai. Blog ek website hi hai magar aapko blogger me google ki taraf se free me milta hai, aur dusri taraf website banane ke liye aapko domain aur hosting aur kai sara investment karne ki jarurat padti hai.-
How To Start A Blog:
Blog start karne ke liye sabse pehle aapko content choose karna padega. Uske baad aapko us content ke relateted post likhni hai aur use blogpost me post karni hai. Yaad rahe ki aap kisike bhi content ki copy nahi kar sakte. Content aapko SEO friendly likhana hai jo google me rank kar sake, agar aap SEO ke baare me nahi jante hai to aap is article ko read kar sakte hai.
Agar aap aeisa karte hai to aapki website rank nahi karegi aur aapki website seo ke search me nahi aayegi.
Aapko apni taraf se hi content choose karna hai, yani ki aap jis cheez me interest rakhte hai uske baare me aapko content choose karna chahiye. Aur aapka content bilkul hi different hona chahiye jisse aapki website search engine me rank ho sake.
How To Select A Theme:
Agar aap blogger me apni khud ki themes lagana chahate hai aur blog ko apni website ki tarah dikhana chahate hai to aapko themes ki website par se theme download karni padegi.
Download karne ke baad aapko Themes ke option me edit HTML par jakar theme ki code ko paste karna hai. Ab aapka blog websites ki tarah dikhane lagega.