How To Start A Domain Selling Business – A Step By Step Guides
Hello Friends, Aaj ham is article me baat karne wale hai ki aap domain selling ka business karke lakho aur crore rupees kaise earn kar sakte hai, ji ha aapne bilkul sahi samja crore rupees bhi earn kar sakte hai. Aaj ki is post me domain kya hai aur domain selling ka business kaise kare, kaha se purchase kare aur kaha par sell kare wo sari cheej me aapko is post me bataunga to agar aapko jyada janna hai to is post ko last tak padhte rahiye. So let’s explore!
To sabse pehle me aapk bata du ki domain ka matlab website hota hai aur domain basically ek website hi hoti hai jaise ki ye website supportushindi.com domain hai. Dusre word me kahe to domain ka matlab website ka address jaha se log aapki website tak pahuch sake. Agar aapko google me kuchh search karna hai to aapko google me jana padega, jab ki google bhi khud ek website hi hai google.com To ab baat karte hai ki domain kaha se purchase kare aur kaha sell kare.
Agar aap kisi bhi website create karna chahte hai to sabse pehle aapko uska name purchase karna padta hai. Ab me bataunga ki .com, .in, .uk kya hota hai to basically ye ek website ke extension hai jaise ki google.com pehle se registered hai isliye aap uss domain ko purchase nahi kar sakte hai. Agar aap domain register karke usko aage tak le jana chahte hai to use dot com mai hi purchase kare. Michael jackson
Agar aap kisi bhi website create karna chahte hai to sabse pehle aapko uska name purchase karna padta hai. Ab me bataunga ki .com, .in, .uk kya hota hai to basically ye ek website ke extension hai jaise ki google.com pehle se registered hai isliye aap uss domain ko purchase nahi kar sakte hai. Agar aap domain register karke usko aage tak le jana chahte hai to use dot com mai hi purchase kare. Michael jackson
Ab baat karte hai ki aap domain purchase kaha se karege. To iske liye aapko godaddy ki official website in.godaddy.com is site par aap domain auction me lekar purchase kar sakte hai jinse aapko cheapest price me domain price milega. Aap google me godaddy auction search karege tab aapke samne wo site open hogi is site par aapko cheapest price me domain name mil jayega aur aap usko aasani se sell bhi kar sakte hai.
Jab aap domain name purchase kar lete hai tab aap usko sell out kaise karege. To uske liye aapko flippa ki website par listing karna padega aur flippa ki website par register karne ke liye aapko simple account crate karna padega uske baad sabhi details aapko fill up karni padegi. Ab baat karte hai ki flippa par domain name listing kaise karte hai, to uske liye flippa ko kuchh charges pay karna padega aur uske baad hi aap apne domain name ki listing kar sakte hai aur listing karte time aap jitni price rakhna chahte hai utni price rakh sakte hai. Ab agar koi bhi aapka domain lene me interest rakhta hai to aapko godaddy ki taraf se mail aayega aur phir aapka domain purchase ho jaayega aur domain purchase hone ke baad godaddy apna service charge 20% apne paas rakh legi ya uski service fee rakh legi aur dusra paisa aapko de diya jaayega. To iss tarah domain selling ka business work karta hai.
To ye jankaari thi kuchh domain selling business ke baare me. Asha hai ki aapko ye jankaari achhi lagi ho aur agar aapko ye jankaari achhi lagi ho to apne friends aur family ke saath jarur share kare aur agar aapka koi bhi sawal hai to niche comment karke jarur bataye aur agar aap aesi hi post read karna chahte hai to subscribe karna na bhule.