Top 20 Safety Driving Tips in Hindi

Top 20 Safety Driving Tips in Hindi

Hello friends, aaj ham is article me baat karne wale hai ki driving karte time kaun kaun si cheejo ka khayal rakhna chahiye. Aap sabhi ko basic cheeje to malum hi hogi but aaj aapko driving se jude kai points aapko janne ko milenge jinhe follow karna bahut hi jaruri hai aur agar aap is points ko follow karte hai to aapko driving ke time jo bhi problems aati hai wo bilkul nahi aayegi. Is post me aapko driving se judi sabhi baate janne ko milegi. To agar aap driving ke baare me janna chahte hai to is post ko last tak padhte rahiye. So let’s explore!

Sabse pehle ham driving ke baare me basic janenge. To sabse pehla point hai jo ki driving ke pehle check karna bahut hi jaruri hai wo ye hai ki apne vehicle ko proper check kare ki kisi bhi tarah ka fault na ho. Second point hai ki jab aap driving ke time bore ho jaate hai aur laziness feel karte hai ya phir aapko nind aa rahi hai to aapko turant driving karne se ruk jana chahiye kyuki us time pe aapka focus driving par nahi rehta hai aur agar phir bhi aap driving karna chahte hai to aapko tea ya coffee aapki need ke according leni chahiye kyuki inse aapka focus badh sakta hai but kabhi bhi jab aapko nind aa rahi ho tab driving bilkul bhi nahi karni chahiye jo ki aapki life ke liye bada khatra ho sakta hai. Iske alawa niche diye gaye  tips ko bhi follow karna hai.
 
  • Driving karte time mobile phone, ya kisi bhi tarah ki cheejo me dhyan na de sirf driving par focus kare kyuki inse aapki concerntration miss ho jane se accident ho sakta hai.
  • Kisi bhi walking people ke 25M se usko kabhi bhi overtake na kare aur fast driving ke mood me kabhi bhi apna lane chanege na kare inse kya ho sakta hai wo aap samah sakte hai.
  • Driving karte ne se pehle ya phir kabhi bhi drinking na kare inse aap samaj hi sakte hai ki drinking karke driving karne se kya hota hai.
  • Traffic ke rules ko follow kare aur agar aap rules ko follow nahi karte hai to aapko punishment ya penalty  bhi pay karni padegi isliye traffic rules ko always follow kare.

Speed of Driving

Ab janenge ki driving ki normal speed kitni honi chahiye, to driving speed ke liye central government ne kuchh law banaye hai unke aadhar par aapko speed fix karni hai. State government ko kisi bhi vehicle ki maximum ya minimum speed ko fix karne ke liye select kiya gaya hai but ab ham central government ke through banaye gaye law jo ki national level ke law hai uske baare me baat karenge.

Vehicle overtaking

Jab bhi aap driving kar rahe ho tab aapko overtaking karne ke liye aapko attention rakhna padega nahi to bahut ki bada khatra ho sakta hai. Jab bhi koi slow vehicle chalta hai ya kisi ke around aap driving kar rahe hai tab kisi bhi vehicle se aage jaane ke liye tab tak lane change na kare yani ki tab tak overtake na kare jab tak aap sure na ho ki aage koi bhi dangerous problems ho sakta hai.
Agar aap kisi bhi vehicle ko overtake karna chahte hai to aap right turn indigator ka signal de jinse ye pata chale ki aap right side overtaking karna chahte hai but phir se ye jaan le ki overtaking ke time aage aur pichhe ki side dono jagah par koi bhi vehicles nahi aa rahe hai. Ab overtaking ke baad aapke samne ke vehicles ko dekhe jo ki right side me jaate hai aur apne indicator ko wapis off kar de taki aapke pichhe ke vehicles ko ye malum pade ki aap phir se pehli lane me aa chuke hai. Basically overtaking right side par hi kiya jaata hai left side me overtaking karna dangerous hai but agar three lane way hai to aap left side me vehicle ko overtake kar sakte hai aur agar aapke samne koi bhi vehicle right side turn ho raha hai us wakt aap overtaking kar sakte hai.

Drink while driving:

Aapne kai saare news channel ya phir kisi newspaper me ye advertisement jarur dekhi hogi ki ‘car chalate wakt do sakhs ki maut ho chuki hai driver ke nashe ki wajah se’. Agar aap in ads ko jaante hai tab aapko malum hi hoga ki driving karte time drinking karna kitna dangerous hai. Drinking aapke nervous system ko bahut hi effect karta hai kyuki isme jyadatar alcohole hota hai jo ki hamare lever me aur digestion system ke liye bahut hi dangerous hai aur ye bhi proof hua hai ki jab bhi koi drinking karke driving karta hai uski ya to maut ho jaati hai ya phir accident ho hi jaata hai.
Drinking ke wakt driving karne walo ke liye accident ho jaata hai isliye is problem ko solve karne ke liye kuchh indian government ne rule banaye gaye hai.

Drugs aur drinking ko avoid karne ke liye drugs aur alcohole ka medical experiment karna bahut hi jaruri hai kyuki unse malum ho ki aakhir kyu log driving karte time drugs ya drinking ka use karte hai aur uska experiment high level par karna chahiye aur experiment karne ke liye jo bhi equipment ki jarurat pade wo sabhi tools ka use karna chahiye aur agar jarurat pade to foreign se bhi import karna chahiye taki malum pade ki kyu drinking ki jarurat padti hai. Ab dusra point hai sabhi vehicles ko check karna chahiye ki koi unlegal cheeje to nahi aur agar koi bhi log unlegal cheej rakhte hai to us par legal action lena chahiye.

Traffic rules for driving:

Driving karte time traffic rules ko folllow karna bahut hi jaruri hai isliye niche kuchh points diye gaye hai jisko follow karna bahut hi jaruri hai.
 
Apna vehicle always left side drive kare inse jo bhi heavy vehicle hai wo asani se road par se nikal sake.
 
Left ya right side turn karne ke se pehle indicator on kare taki pichhe ke vehicles ko malum ho ki ye right side me ya left side me jaana chahta hai.
 
Two drive karte wakt always helmet pehanna bilkul bhi na bhule aur check kare ki thik tarah se fix kiya gaya hai ki nahi aur two wheeler vehicle me 
 
Accidents ko avoid karne ke liye kisi bhi vehicles ke pichhe minimum distance rakhe taki suddenly brake lagne se attack ke chances se bach sake aur agar in case accident ho jaata hai to wo serious accidents bhi ho sakta hai aur inse mesothelioma jaisi problem aa sakti hai.

In emergency cases:

Driving bahut ki seriously aur carefully karni chahiye. Driving karte time aapko emergency driving ke baare me malum hona chahiye kyuki kisi bhi tarah ki emergency ki condition me aapko madat mil sakti hai. Is point me aap janenge ki kisi bhi tarah ki emergency condition me kya karna chahiye jaise ki aapki break fail ho gayi hai ya phir steering work nahi kar raha hai.

Brake failure:

To aap sab jante hi hoge ki driving karte time brake ka achhi tarah work karna kitna jaruri hai but agar aapki brake fail driving karte time fail ho jaati hai to sabse pehle aapko passions rakhna hai, bilkul bhi ghabrane nahi hai isliye pehla point ye hai ki ghabrana nahi hai kyuki inse aap aage ka decision nahi le paate hai aur inke aage ka action nahi le paate hai. Ab dusra point hai apne pairo ko accelerator se bahar le jaana hai aur turant hi gear change kare aur third point hai hand brake ka use kare.

Steering failure:

Jab bhi driving karte time steering work karna band ho jaaye to ye bahut hi dangerous condition ho sakti hai. Iske liye vehicle ki speed ko kam kare aur brake ka jyada istemal kare aur hand brake ka bhi istemaal kare kyuki steering begad jaane par vehicle kaha tak jaata hai wo kisi ko bhi malum nahi hai aur steering ke fail ho jaane se serious problems bhi ho sakti hai.

Tyre failure:

Agar driving karte time tyre break ho jaata hai to iss condition me aapko ek cheej par jyada focus karna hai aur wo hai apne steering ko ekdam tight pakad ke rakhna hai.
 
To ye jankaari thi kuchh driving safety tips ke baare me. Asha hai ki aapko ye jankaari achhi lagi hai aur agar aapko ye jankaari achhi lagi hai to apne friends aur family ke saath jarur share kare aur agar aap jyada janna chahte hai to comment karke jarur bataye aur aese hi nayi nayi jankaari paane ke liye subscribe jarur kar le.

Leave a Comment