E-mail Ke Bare Me Jankari – What Is Email In Hindi
Hello friends aaj ham is article me baat karne wale hai e-mail ke bare me baat karenge ki email kaise work karta hai aur email kya use kar sakte hai aur email account kaise create kare.
Aapko sayad malum hoga ki email account kaise banate hai but is post me email se jude kai saare points hai jo ki aapko janna bahut hi jaruri hai. To agar aap email ke baare me jyada janna chahte hai to is post ko last tak padhte rahiye. So let’s explore!
Concept of Email:
Email ek electronic messaging service hai jo ki world me kisi bhi person ko internet ke medium se bheja jane wala platform hai. Aaj kal internet jyada badh raha hai isme log mail karna pasand karte hai.
Aaj kal 1 din ke andar millions of mail duniya me bheje jate hai.
Sabse pehla Email 1971 me Ray Tomlinson ne bheja tha. Email kuchh nahi hai but one type of text message hai. Magar email se aap apni file attach kar sakte hai.

How Email Works:
E-mail bhejna bahot hi aasan hai. Aap jo bhi person ko mail karna chahta hai uska email address dalna hai aur compose karna hai Jinse aapka mail us person ko pahuch jayega.
E-mail ka use jyadatar aek company ko dusri company ke saath judne ke liye kam aata hai. Email ke liye SMTP server and POP3 server bhi use kiya jata hai.
How To Create Email Account Using Gmail:
E-mail account banane ke liye sabse pehle aapko choose karna padega ki aap kis platform me apna account create karna chahate hai.
Jaise ki Gmail, Yahoo ya phir microsoft. Example ke liye agar aapko gmail account kaise create karte hai.
Gmail google ki best and free servicehai aur aaj kal most of people ke paas gmail account hoga.
To sabse pehle aapko gmail me account banane ke liye Create Your Gmail Accountpar click kare.
Next, aapko ek form fill up karna hoga, jisme aapko aapko sabhi details deni hogi, a jandb aapse username puchha jayega jisme aap koi bhi name rakh sakte hai, and username ke baad @gmail.com lagega.
For example, agar aapka username aapka name hai to aapka gmail address [email protected] hoga.
Now, apna password choose karna hai and next par click karke google ki terms and condition ko read karke agree par click karna hai.
Iss tarah aap yahoo aur microsoft me bhi account bana sakte hai.
Use of Email:
Aaj kal email sabhi jagah par use kiya jata hai.
School se lekar bank me tak email ki jarurat padti haiaur agar aap kisi bhi company me job ke liye apply karte hai usme bhi aapko email id hona bahut hi jaruri hai. Isliye aapko aaj ke time me e-mail address bahot jaruri hai.
To ye jankari thi kuchh email ke bare me. Asha hai ki aapko ye jankaari achhi lagi ho
Agar aapko ye jankaari achhi lagi ho to apne friends aur family ke saath jarur share kare aur agar aapka koi bhi question hai to comment karke jarur bataye aur aesi hi interesting post read karne ke liye subscribe jarur kare.