How To Open Bank Account In Hindi

How To Open Bank Account – Bank Account Kaise Open Kare

Hello Friends,
         
Aaj ham janenge ki aap agar kisi bhi bank me apna account open karna chahate hai to aapko kon kon si cheejo ka khayal rakhana hai.
Aur ham janenge ki bank account open karane se kya kya fayade hote hai. Aapko pata hi hoga ki aaj kal bank account kitna jaruri ho gaya hai.
Aaj chhote se chhote aur bade se bade businessman ya shopkeeper ke pas bank account hona jaruri hai.
Aur hamare PM shree Narendra Modiji ne abhi abhi ‘INDIA POST PAYMENT BANK’ start ki hai jiske jariye gau me rehte logo ko bank account kholne me aasani hogi aur koi bhi person digital service ka use kar sakta hai,jisme credit card, debit card, net banking jaise services provide ki ja sakti hai. jinse usko bahut hi jyada faydemand rehta hai.

Types of Bank Account:         

Aap do tarike se bank account open kar sakte hai. In dono me se aap kisi bhi tarike se bank account open kar sakte hai. 
 
1. online 
2. offline
 
Sabse pehle aapko bank choose karni hai ki aap kis bank me apna account open karna chahate hai, aur aap kis type ka account open karna chahate hai: saving account, current account.
Agar aap online bank account open karna chahate hai to aap jis bank me account open karna chahate hai uski aapko application download karni padegi.

For Example, agar aap State Bank of India  me apna account open karna chahate hai to aapko SBI ki official app ‘YONO by SBI’ is application ko download karni padegi.
 
Aap is application ko play store se download kar sakte hai. Is par aapko apni puri detail correct bharani hai. 
Jaise ki apna Name, E-mail, phone number aur aadhar card, pan card jaisi sabhi details aapko correct bharni hai.
Form ki details bharane ke baad apko 7 din ke andar aapko aapka account number mil jayega.
Online account open karne ka sabse bada fayda ye hai ki aap kisi bhi time aur kahi par bhi apna bank account open kar sakte hai.
Agar aap bank ki service ke baare me janna chahate hai to aapko bank ki website visit karni hogi, jisme aapko bank ki sari details mil jayegi.

Dusra tarika hai offline

Isme aapko jis kisi bhi bank me apna account open karna chahate hai us bank ki branch me aapko visit karni padegi.
Aur aapko apna form fill up karke apna jo bhi document hai usko fill up karna padta hai.
Sabhi necessary documents ko dena hai agar aap document nahi doge to aap bank account nahi khol sakte aur kai sari problems aa sakti hai.
Jab wo bank ka staff aapko time dega, us time par aapko apna account number lene jana padega.
Aur jab aapko passbook milegi aur aapko credit card, debit card aur cheque book ke liye aapko apply karna padega.
Agar aap online bank account open karte hai to aapko online form fill up karna padega aur agar aap bank me jakar account open karte hai to aapko sabhi documents jaise:
aadhar card, pan card, driving license ki xerox copy deni padegi.


Follow condition:


Aab aapko bank account khulvane ke baad e-mail ID aur SMS alert ki service start karani padegi, jinse aap
Aur aapko bank ke terms of service and condition ko follow karna padega, agar aap bank ke condition ke bahar jaate hai to aapka bank account suspend ho sakta hai aur aap dusri baar us bank me account open nahi kar sakte.

To dosto, ye thi kuchh bank account open karne ki jaankari. agar aap jyada janna chahate hai to mujhe niche comment karke jarur bataye.
Asha karte hai ki aapko ye jankari achhi lagi hai, agar aapko ye information achhi lagi ho to apne friends ke saath jarur  kare.

Leave a Comment