How To Become A Seller On Amazon – Step By Step Guides To Selling on Amazon

How To Become A Seller On Amazon – Step By Step Guides To Selling on Amazon

 
 

Ecommerce Business Kya Hai

jaise ki aap sab jante hi hoge ki e-commerce business ka matlab ki online business karna.

Iske liye aapke paas ek shop honi chahiye and products honi chahiye. Shop ka GST number aur TIN number hone chahiye.

Next, aap ecommerce business start kar sakte hai aur apna online business start kar sakte hai.

 

How To Sell On Amazon India – Amazon Seller Registration

Amazon ki website par register karne ke liye sabse pehle aapko niche di gayi link se amazon seller ki website par jakar registration karna hoga.

 

AMAZON SELLER CENTRAL

Is link jisme aapko apni sabhi details bharni hogi jisme aapko GST NO. ki jarurat padegi.

GST number hona compulsory hai, kyuki iske bina aap koi bhi E-commerce website par register nahi kar sakte.

Register karne ke bad aapko isme aap jo bhi sell karna chahate hai usko listing karni hai.

 
Product ko add karne ke liye, Amazon Seller Central Dashboard par login kare > Add A Product aur apna product add kare
 
uske bad jaise aapka koi bhi customer se order aata hai to usko manage karna hai.
 
How To Manage Inventory In Amazon Seller Dashboard

Jaise ki jab aapka koi customer se order aata hai to aapke PC ya computer par notification aayegi.

Aap chahe to mobile me bhi amazon seller ki android ya iOS app download kar sakte hai jisme aapko har ek order ki notification milegi.

Jab aap order section par jaate hai tab aapko order ko manage karna hai jisme click karna hai.

Pack Order for Delivery

Uske baad ‘print packing slip’ par click karke aapko slip ki print nikalni hai and other option ‘print tax invoice’ par click karke aapko invoice ki print nikalni hai.

Aapko aapne product ke hisab se amazon kuchh shipping charges aur apna kuchh commission charge kat lengi,

(shipping me aap do option choose kar sakte hai agar aap apni taraf se product customer tak ship karna chahte hai to apnit taraf se bhi kar sakte hai ya phir amazon easy  ship ka bhi use kar sakte hai.)

Next, aapko product ko pack karna hai aur ye dhyan rakhna hai ki aapka packaging material good aur solid hona chahiye.

Jinse aapka product safe rahe aur customer tak aasani se pahunch jaye and aapka product damage na ho. 

Manage Order & Select Date & Time:

Jab aap order manage karege tab aapko pick up date and time puchha jayega aur aapka packaging ki size bhi puchha jayegi jise aapko details fill karni hai

Ab aap jab pick up time set kiya hoga us time pe amazon ke delivery agent aapki shop par aapka product lene aayege jisse.

Next, packing slip me diya gaya barcode scan karenge and pick up le jayenge.

Ab customer tak aapka product pahucha denge par jab aap self shipping ka option choose karte hai to aapko apni taraf se shipping karna hoga sirf amazon ko apne order ki tracking details send karni hai.

How To Receive Payment:

Ab baat karte hai ki payment kaise receive karege, to jab aap account create karenge tab aapko apni bank details deni hongi.

Jab aapka product customer tak pahuch jata hai tab aapko apni payment directly bank account me transfer ho jati hai.

Aapke sabhi product ki payment har week bank account me transfer kar di jayegi.

Aapka ek week ka cycle hoga, jisme aapko apni payment ki information di jayegi. 

How To Process Cancelled Order:

Now, jab koi customer order cancel karta hai to aapko aapki product 2 se 3 din me wapas mil jayegi aur amazon product ki return free me karta hai.

To ye jankaari thi amazon selling ke baare me.

Asha hai ki aapko ye information achhi lagi ho aur agar aapko ye jankaari achhi lagi ho to apne friends aur family ke saath jarur share kare and agar aapka koi  bhi question hai to niche comment karke jarur bataye. 

Aapka bahumulya samay dene ke liye aapka bahut bahut dhanyavad.

Leave a Comment