How To Start Affiliate Marketing Business – Step By Step Guides

How To Start Affiliate Marketing Business – Step By Step Guides

 

Hello Friends Aaj ham is article me baat karne wale hai ki kaise aap affiliate marketing karke ghar baithe achhi earning kar sakte hai.

Agar aap ek student ho to aap isse part time kar sakte hai aur bahut hi achhi earning kar sakte hai.

Affiliate marketing ka dusra meaning digital marketing bhi hota hai

Iss business start karne ke liye ek bhi rupees pay karne ki jarurat nahi hai, that means ki aap isse bilkul free me kar sakte hai.

To aaiye jante hai ki affiliate marketing kya hai aur inse judkar aap kaise lakho rupees mahina kama sakte hai.

Man, Money, Tablet, Bet, Success, Win, Lottery, Jackpot
 
 
 

What is Affiliate Marketing?

To ab aapko ye janna jaruri hai ki aakhir affiliate marketing kya hai.

Affiliate marketing ka matlab hai kisi aur ka product aap sell karvate ho aur uske bich ki kuchh commission aapko mil jati hai

usko affiliate marketing kahte hai aur affiliate marketing ko dusre word me digital marketing bhi kaha jaata hai.

Aap flipkart, snapdeal jaise kai sare e-commerce platform se bhi affiliate marketing kar sakte hai.

Company ko aapni sales aur badhane ke liye aur naye customer laane ke liye affiliate marketing ko start kiya gaya hai.

]inse jyada se jyada customer company ke saath jude aur company ki sales badhe aur product ke promoter ko bhi fayda ho sake jinse company ki jyada se jyada sales badhe.

[maxbutton id=”3″ window=”new” ]

How To Start Affiliate Marketing:

Aaj kal most of sabhi platform me affiliate program lagu kar diya gaya hai jinse company ki sales aur jyada badhe.

Jaise ki examples ke liye world ki sabse badi e-commerce company amazon ne apna affiliate programme india me launch kar diya hai.

Kai saare log in platform se bahut hi achhi earning kar rahe hai aur inse kai saare students bhi is programme me success ho rahe hai.

To ab ham baat karte hai ki agar aapko is programme ke saath judna hai to kya karna affiliate marketing karne ke liye

Register On Amazon Affiliate Account

Sabse pehle aapko Amazon ki affiliate program ki website per registration karna hoga.

How To Start Amazon Affiliate 

Amazon me affiliate marketing karne ke liye aapko www.affiliate-programm.amazon.inki website par registration karna padega.

Uske baad aapko is website par registration form fill karna padega iske liye aapke paas website ya blog hona chahiye.

jinse Amazon ye prove karta hai ki ha is bande ke pas website hai isliye ye company ki product sell karega jinse company ki sales badhegi. 

Registration ke baad aapko dashboard ke search bar me aap jo product promote karna chahate hai usko isme type kare jab aap search karenge to product ki list milegiuske right side me get link ka option aayega jisme se aapko link copykarke shorten link par click karna hai aur us link Ko copy karna hai.

Select Products & Share On Your Social Network

Ab aapke WhatsApp ya Facebook group me paste karni hai ya agar aapka friend ye product kharidna chahata hai to directly usko bhi bhej sakte hai aur jab aapka friend us link se product purchase karta hai to aapko us product ki directly commission banegi. 

Is tarah aap kai sare product sell karke lakho rupees paise earn kar sakte hai. Jitni jyada aapki sales hogi utna jyada aapko profit milega.

How To Get Paid:

Agar aap payment receive karna chahte hai to aapke account me minimum one thousand rupees honi chahiye

jab aapki payment one thousand rupees ho jayegi tab aap NEFT ke through payment transfer kara sakte hai but payment lene ke liye aapko tax information compulsory hai 

Fill Up Tax Information:

Tax inforamtion fill kare bager aap payment nahi le sakte. Payment request ke do se teen din ke andar aapka payment aapke bank account me transfer ho jayega.

Jab aap dashboard par jayenge tab sabse last me aapko menu dikhega jisme advertising fee schedule hoga is par click karne ke bad aapko sabhi product ki commission rate likha hoga jinse aap check kar sakte hai ki kis type ke product se kitna percent commission milega.

To dosto, ye jankaari thi kuchh affiliate marketing ke baare me jo ki earning karne ka bahut hi achha way hai. Asha hai ki aapko ye information achhi lagi hai, agar aapko ye information achhi lagi ho to apne dosto ke saath jarur share kare aur agar aapka koi bhi sawal ho to mujhe niche  comment karke jarur bataye. 

1 thought on “How To Start Affiliate Marketing Business – Step By Step Guides”

Leave a Comment