Step By Step Guide To Help You Start Investing In Mutual Funds Online

Step By Step Guide To Help You Start Investing In Mutual Funds Online

Hello Friends, Aaj ham is article me baat karne wale hai ki aap mutual fund me invest kaise kar sakte hai. Agar aap kisi jagah par invest karne ke liye soch rahe hai aur agar aap future ke liye plan kar rahe hai to mutual fund aaj ke time me bahut hi achha platform hai. Mutual fund me aap ek high return paa sakte hai aur long term ke liye achha munafa kama sakte hai.
To agar aap mutual fund ke baare me jyada janna chahte hai to is post ko last tak jarur padhe. So let’s explore! Securities and Exchange Board of India

Mutual fund me inves karne ke liye aapke paas ek smartphone hona chahiye jab ke pehle ke time pe aapko agar invest karna ho aapko invest karne ke liye agent rakhna padta tha aur us time pe log uska commission charge karte the
Lekin aaj ke time me aapko na hi to agent rakhne ki jarurat hai aur na to aapko kahi bhi kisi bank me jaane ki jarurat hai agar aap ke paas ek smartphone hai aur documents haii to un smartphone ki madat se investment ki process kar sakte hai. 

How To Invest in Mutual Fund?


To aaye jante hai wo konsa tarika hai jinki madat se aap mutual fund me invest kar sakte hai. To uske liye sabse pehle aapko apne smartphone ke play store me Paytm Money app install karni hogi jisme aapko register karna padega
But uske liye aapka KYC pehle se hona chahiye phir aapko paytm money aap me login karna hoga aur login karne ke baad aapko apni kyc details deni hogi jisme aapko pehle apna pan number dena hoga aur
Phir, aage ki process me aapke adhar card, pan card aur passport size ki photo ye sabhi jo bhi cheeje jarurat pade usko fill up karni padegi aur aapko ek five second ki video upload karni padegi jisme aapko apna name bolna hai aur submit karna hai but video ekdam clear honi chahiye aur jo bhi documents aap upload kare wo bhi ekdam clear hone chahiye.
Jab aap apni sabhi kyc details correct fill up karte hai tab aaapko two se three din ke andar aapko sms ke through bata diya jayega aur yadi aapne kyc details correct fill up nahi ki hai to aapko rejected ki notification aayegi aur isme aapko dusri baar correction karke fill up karni padegi.

Jab aapka application approve ho jata hai tab aapko us app me investment karne ke liye kai sari company ke name aur uske saath kitne amonut invest karne par aapko kitna amount milega aur kitne time ke liye milega wo sabhi detail aapko di jayegi.
Agar aap jyada jankari chahte hai to sidebar me customer support option milega usme sabhi categories ke question and answer hoga aur agar aapka question un list me se nahi hai to aap apni taraf se bhi question puchh sakte hai.

To dosto, ye information thi kuchh mutual fund me investment ke baare me ki kaise aap paytm money ke through invest kar high return pa sake aur wo bhi bina agent ke. Agar aapko ye information achhi lagi hai to apne friends ke saath jarur share kare aur agar aapka koi bhi sawal hai to comment karke jarur bataye.

Leave a Comment