How To Apply for Net Banking? Net Banking Ke Liye Apply Kaise Kare:
Jaise ki aap sab ko pata hi hoga ki aaj kal internet kitna badh gaya hai and internet ki growth rapidly badhti ja rahi hai.
Inse lakho log bank jaye bina transaction karte hai aur wo bhi ghar baithe, jinse uska time aur paisa dono ki bachat hoti hai.
Net Banking Kya Hai:
Net banking ek online banking ki facilities provide karti hai jo ki internet ke madhyam se ki jaati hai.
Net banking ko ek E-payment system bhi kaha jata hai yani ki electronic payment system, jinse aap kisi bhi bank ke saaath paise ki len-den kar sakte hai.
Net Banking aapko apne account ki sabhi information provide karta hai, jo aapko kabhi bhi aur kahi bhi provide ki jaati hai.
Net Banking Service:
- Money transfer in account
- Demand draft
- Show account balance anytime, anywhere
- Fix deposite
- Cheque book request.
Net Banking Ke Liye Apply Kaise Kare:
Net Banking service ka use karne ke liye sabse pehle aapke paas bank account hona jaruri hai.
Aap net banking ke liye apne android phone se bhi kar sakte hai.
Jiske liye aapko apne bank ki official website par jana hoga aur usme net banking ka option choose karna hai.
Uske baad usme register karna hoga and apna username aur password choose karna hoga.
Aap directly bank me jakar bhi net banking ke liye apply kar sakte hai, jisme aapko apne bank ki branch ko visit karna padega.
Phir bank ke agent se form lekar use submit karna hai.
3 se 4 din me aapko aapka username aur password mil jayega.
Aap apne ATM card se bhi net banking ke liye apply kar sakte hai.
Jiske liye aapko apne ATM centre par jana hoga aur usme PIN dalkar net banking ka option choose karna padega.
aur aapko apna username aur password courier ke through mil jayega.
Net Banking Ka Use Kaise Kare:
Net banking ki service ka use karne ke liye aapko bank ki website par jakar username aur password enter karna hai.
Aapke account ki sabhi details show hogi.
Jaise ki account balance, transaction.
Aap net banking ka use apne smartphone ki application se bhi kar sakte hai.
Jiske liye aapko apni branch me contact karna padega ki bank ki official app ka name kya hai?
Uske baad hi aap usme username aur passwpord enter kare.
Because, aaj kal kai fake application hoti hai jo aapka sabhi data chura leti hai, jinse aapke account ki balance loss ho sakti hai.
To dosto, ye information thi kuchh net banking ke baare me.
Asha hai ki aapko ye information achhi lagi ho.
Agar aap jyada janna chahate hai ki internet banking kya hai to niche comment karke jarur bataye.
Agar aapko ye information achhhi lagi ho to apne friends ke saath share jarur kare.