Online Shopping Karte Time Rakhe In Baato Ka Khayal – How To Take Care While Online Shopping
Best Credit Cards USA 2021
Secure Internet Connection
Ye ek bahut hi touching point hai ki aapka internet connection kitna secure hai agar aap online net banking, credit ya debit card ke through online payment karte hai.
That means server https hona chahiye http server me kabhi bhi shopping nahi karni chahiye.
Jab bhi aap shopping karte hai to baad me aapko payment ka option milta hai jisme aap apni taraf se payment method choose kar sakte hai.
But kai sare sellers sirf online payment ka option rakhte hai, jiski wajah se aapko compulsory online payment karna padta hai, jiski wajah se aapko credit ya debit card se hi shopping karni padti hai.
Check Seller Reviews & Ranking
Agar aap koi bhi product purchase karte hai aur wo product cheap price me hai to aapko attention rakhana padega.
Seller ki rating check karni padegi ki seller ka rate kya hai, uske feedback kaisa hai aur us seller ka logo se engagement hai ya nahi aur log un seller ko kaisa feedback de rahe hai.
In sabhi cheeje dekhni chahiye. Agar aap kisi bhi seller ko jante hai aur un par trust hai ki ye seller achha hai aur legal hai to aap un seller se purchase kar sakte hai.
Check Product Details
Sabse pehle jab aap kisi bhi product ko search kare to uski images, description sab kuchh dekh le ki jo product aap purchase karna chahte hai wo product unse match hor raha hai ki nahi.
Suppose agar aap ek shoes purchase karna chahte hai to aap uski images, product description, colour, size aur seller rate aur main price dekhe ki ye product aapki price se match kar rahi hai ya nahi in sabhi cheej ko dekhkar hi aage ki process kare.
Jab end me aa jaye to achhi tarah se aapke order ki details check kare ki product size, quantity correct hi hai aur last me total price check karna bilkul bhi na bhule kyuki agar aap by mistake quantity me agar changes aata hai to product price double ho jata hai.
Check Terms & Conditions
Sabhi different website par terms and condition different hoti hai products ki aur wo jis kisi bhi poduct ko visit karte hai us page me terms & condition batai jati hai, jisme sabhi seller different terms & codition rakhte hai.
Jisme aapko bataya jata hai ki return, refund aur shipping ke liye kuch sharte lagu karte hai.
Jisse achhi tarah se read karna chahiye ki product ki kaun kaunsi terms & conditions hai.
Check Delivery Time
Jab bhi aap product delivery ke liye apna address submit karte hai us time aapko ek option dikhai deta hai ki expected delivery time.
inse aap pata kar sakte hai ki aapka prodcut kab tak deliver ho jayega.
Agar aapne online payment submit kar diya hai aur seller aapko expected delivery time seven days deta hai to agar aapka product seven days ke baad deliver hota hai to aap seller ke khilaf complaint bhi register kar sakte hai.
But ye law sirf online payment ke liye hi hai cash on delivery payment ke liye ye law nahi lagu hoga.
Record of Purchase
Online purchase karte time aapke paas purchase kiye huye product ka record hona jaruri hai.
Aap iss tarah ki details apne record ke liye rakh sakte hai:
- Website name
- Seller name
- Address
- Phone number
In sabhi information ki copy apne paas rakhe.
Jo bhi product aapne order kiya hai uska aapko mail receive hoga us mail ki bhi ek printout apne paas rakhe.
Agar aap information print nahi kar sakte hai to aapko in sabhi information ko achhi tarah se kisi bhi jagah par note kar leni chahiye.
Complaint of product
Jab aapko apna product deliver ho jaaye aur agar aap us product se satisfied nahi hai to aap us product par complaint kar sakte hai.
Product ke baare me complaint karne ke liye aapko site par contact us ka link dikhai dega jisme aapko company ka contact no. address sabhi cheez provide ki jaayegi.
Usme aap apni complaint register kar sakte hai ya company ke saath call karke baat kar sakte hai.
To dosto, ye information thi kuch online shopping ke baare me. Agar aap in baato ka khayal rakhte hai to aapko shopping karne me koi bhi problem nahi aayegi.
Asha karte hai ki aapko ye information achhi lagi ho aur agar aapko ye information achhi lagi hai to apne friends ke saath jarur share kare aur agar aapka koi bhi sawal hai to comment karke jarur bataye.