Part Time Jobs For Students – Students Ke Liye Online Top Part Time Jobs
Hello Friends Aaj ham is article me baat karne wale hai ki jo bhi log students hai wo apni padhai ke saath saath part time job kaise kare and achhi khasi earning kaise kare and wo bhi aap ghar baithe kar sakte hai apne free time me. Agar aap ek students hai to aapko ye post last tak padhani chahiye.
Aaj kal online earning karne ke chances badh gaye hai, aeise me log aaj kal office jaane ki bajaye ghar par rehkar kaam karna pasand karte hai, and kai log inse achhi khasi income generate kar lete hai.
To aaiye jante hai ki konse wo tarike hai jinse aap online earning kar sakte hai, aur achhi income kar sakte hai.
Ek baat yaha jarur notice kare ki online work me turant paisa nahi milta hai usme thoda passions rakhana padta hai and aapko usme kaam karna padega, mehnat kani padegi.
Aesa nahi hai ki aapne ek baar karke chhod diya aur aapki income start ho jayegi so, aapko thoda passions rakhana padega. Aapko payment 100% milegi, aapka paisa kahi nahi jane wala.
Ye work aapko starting me part time me karna hai, aesa nahi hai ki sabhi cheej ko chhod ke bas yahi karna hai.
To aesa aapko bilkul nahi karna hai. Agar aap study kar rahe hai to aapki first priority study honi chahiye. Ye sab work aap apne free time me kar sakte hai.
1. Create a blog
Aap me se most of log jante hoge ki blogging kya hoti hai. Blogging ka matlab kisi cheej ke baare me jaankari ho usko internet par publish karna usko blogging kehte hai.
Bloggine ek website hai jo aapko google ki taraf se free me milta hai, jiske liye aapko domain register karne ki jarurat nahi padti hai.
Agar aapke paas achhi knowledge hai aur aap share karna chahate hai to blogging me writing ke through apna knowledge share kar sakte hai.
Blogging ke liye sabse best tarika start karne ke liye blogger.com hai, isme aap apna free blog bana sakte hai
Blogger.com me aapko na to website purchase karni padegi aur na to hosting purchase karna hai. Agar aapko nahi pata ki blogging kya hai to iske liye aap yaha se padh sakte hai.
Aapke paas kisi ka bhi cheej ka knowledge hai to aap blogging ke through apna knowledge dusro ke saath share kar sakte hai.
Agar aapke blog me achha traffic aata hai to aap google adsense se apply karke adsense ki ad lagakar earning kar sakte hai.
But, aapka blog different hona chahiye and kisi ka copy kiya hua nahi hona chahiye, aesa karne se aapka adsense account suspend ho sakta hai.
Blogging se Harsh Agrawal per month 30 se 35 lakh rupees earn karte hai aur usko india ka no. 1 blogger mana jata hai.
2. Create High Quality Video & Publish It On Youtube:
Aap me se shayad hi aesa koi hoga ki jisne youtube ka name nahi suna ho, because aaj kal Children se lekar Old tak youtube me video dekhate hai
Aaj kal youtube pe competition bahut hi badh chuki hai, isliye aapka video sabse different hona chahiye.
Hal hi me YouTube ne 2020 me new policy update ki hai.
Agar aap YouTube par channel banate ho aur unse earning karna chahate hai to aapko 1 Year me 4,000 Hours ka watch time, it means 2,40,000 Minutes ka watch time aur 1,000 subscribers complete hone chahiye ek saal me.
So, agar aap youtube se earning karne ke liye aapko youtube par regular video upload karne padege, means ki week me 3 se 4 video upload karne hai.
Agar aapka jab Four Thousands hours watch time aur One Thousands Subscribers complete ho jaate hai to aap usme bhi adsense ke liye apply karne ke baad earning kar sakte hai.
3. Create Account In Fiverr & Sell Your Service
Aapne shayad fiverr ka name pehli baar suna hoga ki fiverr kya hai. Fiverr ek freelancing website hai jo aapki skill ke according work provide karti hai.
Agar aapke paas kisi bhi tarah ki skill hai jaise web designing, android app development aur bhi kai tarah ki skill hai to isme aap work kar sakte hai aur ye website bilkul legit aur genuine site hai.
4. Affiliate Marketing – Promote Someone Else Products/Service & Earn A Commission
Ye work ek aesa work hai jisme aap ghar baithe kisi bhi products ko online sell karke earn kar sakte hai.
Affiliate marketing ka matlab kisi aur ka product aap sell karvate hai aur uske beech ki kuchh commission aapko mil jati hai isko affiliate marketing kehte hai.
Agar aapke paas achhi community hai ya facebook me bada page hai to isme aap product ki promotion karke bahut hi achha revenue generate kar sakte hai.
Agar aap affiliate marketing ke baare me jyada janna chahate hai to aap yaha se bhi padh sakte hai. click here To dosto ye tarike the kuchh online earning ke baare me jo students apne free time me kar sakte hai aur apni pocket money ka kharch aur school-college ki fees ka kharch nikal sakte hai. Agar aapko ye jankari achhi lagi hai to apne friends ke saath jarur share kare, aur agar aap jyada janana chahate hai to niche comment jarur kare. Also Read:
- ATM Machine Ke Liye Apply Kaise Kare
- Net Banking Ke Liye Apply Kaise Kare
- Car Washing Business Kaise Start Kare