Patanjali Store Kaise Open Kare Aur Distributor Kaise Bane

Patanjali Store Kaise Open Kare Aur Distributor Kaise Bane

Hello Friends, Aaj ham is article me baat karne wale hai ki aap patanjali store open karke har mahine achhi income kaise kar sakte hai, jaise ki aap logo ko malum hi hoga ki aaj patanjali ki produucts ki kitni demand badh rahi hai aur aese me aapke paas bahut hi achhi opportunity hai,
Patanjali ke saath business karne ki aur wo bhi franchizee lekar. Is business ko start karne ke liye aapko kitne rupees ka investment karna padega aur kitna profit milega.
To agar aap jyada janna chahte hai ki patanjali store kaise open kare to me aapko is posot me puri details bataunga ki kaise aur kaha se franchisee leni hai.
So let’s explore!
 
Patanjali products ka aaj kal sabhi log use kar rahe hai because uski quality bahut hi achhi hai aur kisi bhi tarah ka side effect nahi hai.
Iski wajah se aaj patanjali ek bahut hi badi brand ban chuki hai aur kai sari foreigner company jaise ki Hindustan unilever, close up, pepsodent, cibaca, lux, lakme, fair&lovely, vaseline aur sabse jyada colgate company ko pichhe rakh diya hai.
Ndtv newes ne ye bhi kaha hai ki pichhle saal patanjali ne 4800 crore se jyada ka  turn over kiya hai.
Iska matlab aap soch sakte hai ki patanjali ne saari foreign company ko pichhe chhod ke rakh diya hai us wajah se patanjali aaj ke time me jyada se jyada grow kar rahi hai.
Patanjali store open karne ke liye aapko patanjali store ki franchisee leni hogi.
Is company ki franchisee lene ke liye aap rural store open kar sakte hai is franchisee ko lene ke liye aapko almost Fourty to Fifty thousand rupees invest karna padega.
Agar aap doctor hai to aap patanjali ka clinic bhi open kar sakte hai us francisee ko lene ke liye 12 se 13 lakh rupees investment karna hoga.
Ab ham baat karege ki patanjali ka store open karne ke baad aapko profit kitna hoga. To aapko bata du ki isme aapko Fifteen se lekar Twenty Percent tak aapko per product commission milta hai.
Agar aap One thousands rupees ka product sell karte hai to aap usme se 100 rupees earn kar sakte hai.

How To Contact

Ab ham baat karege ki aap inki franchisee kaise le sakte hai to uper maine jo bhi bataya wo kitna investment aaye uske baare me bataya hai.
Aap iski franchisee lene ke liye 3 tarike se apply kar sakte hai. Pehla tarika hai aap iski official website patanjaliayurved.org
Ye site patanjali ki official website hai, is site par jane ke baad aapko ek form milega us form ko download karna hai aur fill up karna hai.
Ab dusra tarika hai aap directly email ke through bhi contact kar sakte hai, uska email [email protected] hai is email par aap mail kar sakte hai franchisee ke liye aur uski sabhi details aap le sakte hai.
Ab teesara tarika hai ki aap direct contact kar sakte hai. ya aap unse dircetly call kar sakte hai. 01334-240008. Is phone number par aap directly call kar sakte hai ya phir aap uske address par khud visit kar sakte hai. Aap is address par jakar puri details le sakte hai.
Patanjali Food & Herbal Peak,
Village Padartha, P.O – Dhampura,
Laksar Road, Haridwar – 249404
Phone No. 01334-240008.
Aap is address par jakar sabhi details puch sakte hai ya phir call karke bhi aap puch sakte hai. .
To ye jankaari thi kuchh patanjali store ke baare me.
Asha hai ki aapko ye jankaari achhi lagi hai aur agar aapko ye jankaari achhi lagi ho to apne friends aur family ke saath jarur share kare aur agar aapka koi bhi question hai kisi bhi topic ke related to comment karke jarur bataye aur aesi hi interesting jankaari read karne ke liye subscribe jarur kare.

1 thought on “Patanjali Store Kaise Open Kare Aur Distributor Kaise Bane”

Leave a Comment