How To Open Saving Account in Paytm Payments Bank ? Paytm Payments Bank Me Apna Savings Account Kaise Open Kare

How To Open Saving Account in Paytm Payments Bank ? Paytm Payments Bank Me Apna Savings Account Kaise Open Kare

Hello Friends, aaj ham is article me baat karne wale hai ki aap paytm payments bank me apna account kaise open kar sakte hai aur usme apna paisa deposite bhi kar sakte hai. Paytm ne haal hi me apni bank launch ki hai jisme aap apna normal bank ki tarah hi paytm paymens bank me account open kar sakte hai aur usme bhi aap ek general bank ki tarah hi transaction kar sakte hai par normal bank aur is bank me sirf difference itna hai ki isme aapko passbook nahi milti aur normal bank me aapko passbook milti hai. To agar aapko janna chahte hai ki paytm payments bank me apna account kaise open kare to is post ko last tak padhte rahiye. So let’s explore!
Paytm ne haal hi me apna naya bank open kar diya hai jisme aap debit card ke through bhi online transaction kar sakte hai. Aapko digital debit card bhi provide kiya jaayega jisme aap bina debit card ke through cash withdrawal ya payment transfer kar sakte hai. Isme aapko sabhi tarah ki facility di jaayegi. Ab ham janenge ki aap paytm payments bank me apna savings account kaise open kar sakte hai.
To sabse pehle aapko apna account open karne ke liye paytm account me register karna hoga aur wo bhi bahut hi simple hai aap jaise kisi website me sign up karte hai waise hi aapko paytm app me normally new account create karna hai.
Ab aapko account open karne ke liye do tarike use kar sakte hai. Pehla method hai aap paytm app se bhi kyc ke liye request kar sakte hai jisme aapko apne pan card number ki jarurat padegi aur phir apni full information fill up karne ke baad aapko paytm agent ki taraf se call aayega aur wo agent aapke ghar par aakar aapka kyc done karega aur kyc done karne ke liye aapko apna aadhar card apne paas rakhna hai aur baad me aapki fingerprint li jaayegi aur aapka kyc done kiya jaayega aur phir aapka account open kar diya jaayega jo ki aapko paytm ki application me sab kuchh dikhai dega. Ab dusra method hai aap khud kisi apni nearest store par jaakar apna kyc done kar sakte hai jisme aapko apne aadhar card ki jarurat padegi aur phir aapko fingerprint dene hai uske baad aapka kyc done ho jaayega aur agar aap bhi paytm ke agent bankar customer kyc karna chahte hai to iss post ko padh sakte hai. Read Here
Ab aap apne paytm app me dekh sakte hai ki aapka account open ho chuka hai aur ab aap kisi bhi bank me apna paisa transfer karna hai to aap paytm bank se bhi kar sakte hai. Agar aap apne bank ki details janna chahte hai to aap paytm app me bank ke option par click karke apni sabhi details jaan sakte hai. Jisme aapko apna digital debit card bhi dikhai dega jisme pehle four digit aur last four digit dikhai dega aur aapko puri details ke liye apna password enter karna hoga but jab aap pehli baar open karenge tab aapko card ki details ke liye password set karna hai jisme aap apna koi bhi password choose kar sakte hai baad me jab aapko debit card ki puri jankari chahiye to aapko pehle password enter karna padega uske baad hi aapko puri information milegi ye feature isliye use kiya gaya hai kyuki aapki information koi bhi secretly le na paaye.
 
Iske alawa paytm aapko debit card home delivery karne ki facility provide karta jiske liye aapko 125 rupees pay karne padege jab bhi aap proceed to payment karenge aur aapka payment successful ho jaata hai tab aapko diye gaye address par debit card pahuch jayega. Iske alawa paytm aapko bank ke saath kai facilities deti hai jaise ki aap cheque book ke liye bhi request kar sakte hai jisme aapko ten pages ke hundred rupees pay karne padege aur delivery charge extra pay karna padega.
To ye information thi kuchh paytm payments ke baare me. Asha hai ki aapko ye jankaari achhi lagi ho aur agar aapko ye jankaari achhi lagi ho to apne friends aur family ke saath share karna na bhule aur agar aap jyada janna chahte hai to niche comment karke jarur bataye aur aese hi nayi nayi jankaari ke liye follow karna na bhule.

Leave a Comment