What Is SEO in Digital Marketing & Why SEO is Necessary For Your Website?
Hello Friends, aaj ham is article me baat karne wale hai ki aap SEO ki help se apni website rank kaise kare SEO ki help se.
Agar aapne koi website banai hai, par usme trafiic nahi aa raha hai aur ya phir aapne ek youtube channel banai hai aur usme bhi aapko views nahi mil raha hai to seo aapko kaise help kar sakta hai. to aaye jante hai ki seo kya hai.
So let’s explore!
What is Search Engine Optimization (SEO)?
SEO ka matlab search engine optimization hai.
Suppose, aapne ek youtube chaneelbanai hai ya website banai hai usko aap internet me spread kaise karenge.
Iske liye aap jyada se jyada apke whatsapp aur facebook me post kar denge ki mene ek website banai hai please use visit karo par usme aapko limited traffic hi milega.
Aap jyada se jyada facebook me advertisement chalaoge inse bhi aapko achha traffic milega, magar isme aapko jyada investment karna padega.
Aap google adwordske through bhi traffic pa sakte hai, jisme aako kisi ek keywords ke upper ads chalani padegi, but usme bhi bahut sara investment lagta hai.
Aap free me seo ke through apni website rank kar sakte hai
BEST SEO SERVICE TO RANK WEBSITE
Agar aap seo se apni website optimize karte hai to aap new customers tak aasani se pahuch sakte hai.
Search engine targeted aur qualified hai apne business ki free marketing karne ke liye.
Internet par apne product ki marketing karne ke liye kai saare tarike hai jaise ki aap facebook aur whatsapp ya jitne bhi social media platform hai usme post kar dege aapki video ya phir apni website.
Facebook Ad:
Ab dusra tarika hai aap facebook ad campaign run kare ya google adwords ke through kisi bhi particular keyword ke upar ads run kare.
But isme problems ye hai ki iska rate bhut badh jaata hai aur agar aap starting karte hai to aapke paas investment bhi nahi hoga.
Isliye agar aapko apni website par millions of trafficchahiye hai to aapko organic searchgain karna padega aur organic search me hi seo ka use hota hai jisme aap achha traffic generate kar sakte hai.
SEO Ka Use Kaise Kare:
Agar aapko kisi bhi cheej ko search karna hai tab aap google par jayenge and kai log bing ka and yahoo ka bhi use karte hai.
Waha par aap word type karte hai jaise ki aapko search karna hai make money online
Jab bhi aap search karte hai to is word ke upar jitni bhi website hogi wo aapko show hogi to google ye search show kaise karta hai, to isliye seo ka use kiya jaata hai
So, jinse jo bhi hamne website banayi hai wo google ke first page par rank kare yani ki top ten list me aa jaaye.
To ab ye website optimize kaise karte hai.
Ab suppose ki aapne ek website banayi hai to usko show kaun karega ki,
Aapki webite is category ke uper hai to iske liye google ne ek site banayi hai jiska name hai google search console.
Submit Site To Google Search Console:
Ab jab bhi aap kisi bhi tarah ki website banate hai to google search console me jakar apni website ko submit karna padega.
And website ko submit karne ke baad google aapki website ko crawl karta hai aur dekhata hai ki aapne kaunse Keywords, Tags Aur Categories enter ki hai.
But agar jo bhi website rank kar jaati hai wo lifetime ke liye nahi rehti hai competition chalti hi rehti hai.
Iski wajah ye hai ki us jagah google algorithm work karta hai to algorithm google ka part hai jo ki every time change hota rehta hai.
Kisi ko kuchh bhi malum nahi hota ki kaun si website kaunse keyword par rank kare.
Ab jab bhi google ko malum hota hai ki is keyword par ranking badh rahi hai automatically google ka algorithm change ho jaata hai.
Ab yaha par search engine ke bhi different types hai.
Jaise ki google, yahoo aur bing in sabhi search enginepar different tarike se work karna padta hai.
Ab ye aapke uper depend karta hai ki aap kaunsi website ko kaunse search engine par aur kaun se keyword par rank kar rahe hai.
But seo itna bhi easy nahi hai iske liye aapko passions rakhna padega.
Because isme bahut hi competition hoti hai aur aap jaise millions of people ne website banake rakhi hai.
So, seo karna itna bhi easy nahi hai ki aapne seo karke apni website ko rank kar di.
Because google ka algorithm kisi bhi time change ho sakta hai iske liye aapko seo sikhana aur samajna padega.
Research Keywords:
Keyword wo hote hai jo aap google me search karte hai to ab aapko keyword research karne ke liye google me kisi bhi cheej ko search karna hai
Ab search karne ke baad jo bhi list aati hai wo keyword par aati hai aur iske niche kai saare keywords diye gaye hoge jisko aap keyword keh sakte hai.
Ab dusri method ye hai ki aap google keyword planner ki madat se.
Kisi bhi particular keyword ko search karo jisme aapko millions of keyword milege jo ki aapko us keyword par rank karni hai.
So, aap is method se aap keyword find out kar sakte hai ki kause keyword par monthly kitna traffic aa raha hai.
Ab jab bhi aap kisi bhi website create karte hai to usme pages create karna hota hai.
Un pages par aapka content kaisa hai wo bahut hi depend karta hai and aapka content me kitni quality hai un sabhi points par depend karta hai ki aapki website google par kaise rank karti hai.
On Page SEO:
Iske liye aapko on page seo ka use karna padega.
Iska meaning ye hai ki aapne jo wesite create ki hai usme apna title, description aur tags sahi hone chahiye.
Aapko apni website ka URL aese choose karna hai jo read karne me easy ho and keyword ke saath match hota hai.
Agar aapke html me kisi bhi tarah ki problem hai to aapko html ko improve karna padege.
Because agar aapke html me kisi bhi tarah ki mistake hai to aapki website kabhi bhi rank nahi karegi aur search result me always down me aayegi.
Check Website Speed:
Next, aapko apni website ki speed check karni hai ki aapki website ka loading time kitna hai us par depend karta hai ki aapki website google par rank hogi ya nahi.
Because agar aapki website open hone me jyada time spend kar rahi hai to user un website ko chhodke dusri website par chala jaayega
Jinse google ye believe karta hai ki is website par log time spend nahi karte hai iski wajah se bhi aapki website down ho sakti hai.
So, us cheej ka bhi dhyan rakhna hai ki aapki website par visitor down na ho jaaye.To ye jankaari thi kuchh search engine optimization ke baare me.
Conclusion:
Asha hai ki aapko ye jankaari achhi lagi ho and agar aapko ye jankaari achhi lagi ho to apne friends aur family ke saath jarur share kare.
Aur agar aap seo ke baare me ya kisi bhi topic par janna chahte hai to comment karke jarur bataye.
Agar aapka koi bhi question hai to comment karke jarur bataye aur aesi hi ineresting jankaari paane ke liye subscribe jarur kare.
Great content!
Vipassanā also requires an understanding of suffering or dukkha , impermanence and interdependent origination.